moaaziz shohra-e- karam, degae' moazziz mehman, kaifiyat aisee hai ki....
suqoone dil ke liye kuch to ehtamam karun
aur zara nazar jo mile phir unhe salaam karun
mujhe to hosh nahi aap mashwara dijiye
kahan se chedu fasana kahan tamaam karun
Hindustaan ke m-aashre ko urdu zabaan ne badi zeenat bakshi hai, bada husn baksha hai,
usi zabaan ne dilli me parvarish paayee hai...
jahan pe thodi der ke liye humein aitraaf karna padega ki urdu zabaan yateem ho gayee
jahan me ahle-emaa surate-e khursheed jeetay hain
idhar dubay udhar nikle udhar dubay idhar nikle...
woh kaifiyat jo ahle eman ke hai woh is zabaan ki hai...
aur jahan tak jo log is zabaan ko nahi samajhte woh uski loch aur uski khanak ko bahut pasand karte hain...
Its well said...by Dilip Kumar(Yousuf Khan) in a Mushaira....so, do u guyz still know urdu and enjoy its loch and khanak....if u do, pour in some sensible and good sher's u know....
lets re-live the urdu moments









